koi bhooli hui soorat koi bisra hua khwaab
shab ke sannaate mein khulne lage ehsaas ke baab
koi naghma meri khaamosh mohabbat ke rabaab
ye umeedon ki kashaaksh ye tamannaon ke jaal
jaane kis raah se guzregi umeedon ki baraat
faasle badhte gaye shauq-e-subuk-gaam ke saath
tu hi bol ai meri mehroomi ki badhti hui raat
kitni door aur hai vo shehr-e-tarab khuld-e-visaal
kahaan dhundhun tujhe ai soorat-e-zeba-e-khayaal
shab ki aaghosh mein khwaabida hain be-noor anjum
shauq ke haath mein toote hue paimaana-o-khum
aarzoo waqt ke phaile hue seharaaon mein gum
kin hijaabaat mein roo-posh hai ai subh-e-jamaal
ek chot ek khalish zauq-e-tajassus ka maal
कोई भूली हुई सूरत कोई बिसरा हुआ ख़्वाब
शब के सन्नाटे में खुलने लगे एहसास के बाब
कोई नग़्मा मिरी ख़ामोश मोहब्बत के रबाब
ये उमीदों की कशाकश ये तमन्नाओं के जाल
जाने किस राह से गुज़रेगी उमीदों की बरात
फ़ासले बढ़ते गए शौक़-ए-सुबुक-गाम के साथ
तू ही बोल ऐ मिरी महरूमी की बढ़ती हुई रात
कितनी दूर और है वो शहर-ए-तरब ख़ुल्द-ए-विसाल
कहाँ ढूँडूँ तुझे ऐ सूरत-ए-ज़ेबा-ए-ख़याल
शब की आग़ोश में ख़्वाबीदा हैं बे-नूर अंजुम
शौक़ के हाथ में टूटे हुए पैमाना-ओ-ख़ुम
आरज़ू वक़्त के फैले हुए सहराओं में गुम
किन हिजाबात में रू-पोश है ऐ सुब्ह-ए-जमाल
एक चोट एक ख़लिश ज़ौक़-ए-तजस्सुस का मआल
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Mahmood Ayaz
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari