hamnasheen hamnava dildaar hua karte the
ishq ke vo bhi talabgaar hua karte the
loot lete the vo pal bhar mein hi saari mehfil
sher ghazalon ke asardaar hua karte the
chand sikko mein ye akhbaar bhi bik jaate ab
jo kabhi sach ke tarafdaar hua karte the
sabko haasil thi zamaane kii hi daulat lekin
ham to bas ashkon ke haqdaar hua karte the
fasl nafrat kii hi bone kii thi fitrat unki
jo yahan kaum ke gaddaar hua karte the
chhod toofaan mein hamein kar ke kinaara nikle
meri kashti ke jo patwaar hua karte the
aaj likhte hain wahi mulk kii qismat dekho
jo kabhi zulmon ke sardaar hua karte the
neev hilne lagi us ghar kii bhi ab to meena
jiske patthar bade damdaar hua karte the
हमनशीं हमनवा दिलदार हुआ करते थे
इश्क़ के वो भी तलबगार हुआ करते थे
लूट लेते थे वो पल भर में ही सारी महफ़िल
शेर ग़ज़लों के असरदार हुआ करते थे
चंद सिक्कों में ये अख़बार भी बिक जाते अब
जो कभी सच के तरफ़दार हुआ करते थे
सबको हासिल थी ज़माने की ही दौलत लेकिन
हम तो बस अश्कों के हक़दार हुआ करते थे
फ़स्ल नफ़रत की ही बोने की थी फ़ितरत उनकी
जो यहाँ कौम के ग़द्दार हुआ करते थे
छोड़ तूफ़ाँ में हमें कर के किनारा निकले
मेरी कश्ती के जो पतवार हुआ करते थे
आज लिखते हैं वही मुल्क की क़िस्मत देखो
जो कभी ज़ुल्मों के सरदार हुआ करते थे
नींव हिलने लगी उस घर की भी अब तो 'मीना'
जिसके पत्थर बड़े दमदार हुआ करते थे
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari