log may peene ko din raat machalte kyun hain | लोग मय पीने को दिन रात मचलते क्यूँ हैं

  - Meena Bhatt

log may peene ko din raat machalte kyun hain
aur peete hain to phir pee ke fisalte kyun hain

unki marzi ke bina hilta nahin jab koi
phir bhi har baat pe jaane vo ubalte kyun hain

khawf hota hai jinhen yaar rapat jaane ka
to wahi log yun baarish mein nikalte kyun hain

aag maujood hai nafrat ki jahaan mein phir bhi
naame-mazhab pe sabhi zahr ugalte kyun hain

khud madad kuchh bhi nahin karte ghareebon ki vo
jo rasad milti hai usko bhi nigalte kyun hain

baarha karte hain inkaar muhabbat se magar
zikr hota hai jab unka to uchhalte kyun hain

jab unhen pyaar nahin hamse raha hai meena
saamne ghar ke bata mere tahalte kyun hain

लोग मय पीने को दिन रात मचलते क्यूँ हैं
और पीते हैं तो फिर पी के फिसलते क्यूँ हैं

उनकी मर्ज़ी के बिना हिलता नहीं जब कोई
फिर भी हर बात पे जाने वो उबलते क्यूँ हैं

खौ़फ़ होता है जिन्हें यार रपट जाने का
तो वही लोग यूँ बारिश में निकलते क्यूँ हैं

आग मौजूद है नफ़रत की जहाँ में फिर भी
नामे-मज़हब पे सभी जह्र उगलते क्यूँ हैं

ख़ुद मदद कुछ भी नहीं करते ग़रीबों की वो
जो रसद मिलती है उसको भी निगलते क्यूँ हैं

बारहा करते हैं इनकार मुहब्बत से मगर
ज़िक्र होता है जब उनका तो उछलते क्यूँ हैं

जब उन्हें प्यार नहीं हमसे रहा है मीना
सामने घर के बता मेरे टहलते क्यूँ हैं

  - Meena Bhatt

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari