dil par khun hai yahan tujh ko gumaan hai sheesha | दिल पर ख़ूँ है यहाँ तुझ को गुमाँ है शीशा

  - Meer Taqi Meer

dil par khun hai yahan tujh ko gumaan hai sheesha
shaikh kyun mast hua hai to kahaan hai sheesha

sheesha-baazi to tanik dekhne aa aankhon ki
har palak par mere ashkon se ravaan hai sheesha

roo-safedi hai naqaab-e-rukh shor-e-masti
reesh-e-qaazi ke sabab pumbaa-dahaan hai sheesha

manzil-e-masti ko pahunchen hai unhen se aalam
nisha-e-mai-balad wa sang-e-nishaan hai sheesha

darmiyaan halka-e-mastataan ke shab us ki ja thi
daur-e-saaghar mein magar peer-e-mugaan hai sheesha

ja ke poocha jo main ye kaar-gah-e-meena mein
dil ki soorat ka bhi ai sheesha-garaan hai sheesha

kehne laage ki kidhar firta hai behka ai mast
har tarah ka jo tu dekhe hai ki yaa hai sheesha

dil hi saare the pe ik waqt mein jo kar ke gudaaz
shakl sheeshe ki banaaye hain kahaan hai sheesha

jhuk gaya dekh ke main meer use majlis mein
chashm-e-bad-door tarhdaar jawaan hai sheesha

दिल पर ख़ूँ है यहाँ तुझ को गुमाँ है शीशा
शैख़ क्यूँ मस्त हुआ है तो कहाँ है शीशा

शीशा-बाज़ी तो तनिक देखने आ आँखों की
हर पलक पर मिरे अश्कों से रवाँ है शीशा

रू-सफेदी है नक़ाब-ए-रुख़ शोर-ए-मस्ती
रीश-ए-क़ाज़ी के सबब पुम्बा-दहाँ है शीशा

मंज़िल-ए-मस्ती को पहुँचे है उन्हें से आलम
निशा-ए-मै-बलद व संग-ए-निशाँ है शीशा

दरमियाँ हल्का-ए-मस्तताँ के शब उस की जा थी
दौर-ए-साग़र में मगर पीर-ए-मुग़ाँ है शीशा

जा के पूछा जो मैं ये कार-गह-ए-मीना में
दिल की सूरत का भी ऐ शीशा-गराँ है शीशा

कहने लागे कि किधर फिरता है बहका ऐ मस्त
हर तरह का जो तू देखे है कि याँ है शीशा

दिल ही सारे थे पे इक वक़्त में जो कर के गुदाज़
शक्ल शीशे की बनाए हैं कहाँ है शीशा

झुक गया देख के मैं 'मीर' उसे मज्लिस में
चश्म-ए-बद-दूर तरहदार जवाँ है शीशा

  - Meer Taqi Meer

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari