rizwan pada hua tire dar par nahin hoon main
khaak aisi zindagi pe ki patthar nahin hoon main
kyun gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil
insaan hoon piyaala o saaghar nahin hoon main
ya-rab zamaana mujh ko mitaata hai kis liye
lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahin hoon main
had chahiye saza mein uqoobat ke vaaste
aakhir gunaahgaar hoon kaafir nahin hoon main
kis vaaste aziz nahin jaante mujhe
la'l o zamurad o zar o gauhar nahin hoon main
rakhte ho tum qadam meri aankhon se kyun daregh
rutbe mein mehr-o-maah se kam-tar nahin hoon main
karte ho mujh ko man-e-qadam-bos kis liye
kya aasmaan ke bhi barabar nahin hoon main
ghalib vazifa-khwaar ho do shah ko dua
vo din gaye ki kahte the naukar nahin hoon main
दाइम पड़ा हुआ तिरे दर पर नहीं हूँ मैं
ख़ाक ऐसी ज़िंदगी पे कि पत्थर नहीं हूँ मैं
क्यूँ गर्दिश-ए-मुदाम से घबरा न जाए दिल
इंसान हूँ पियाला ओ साग़र नहीं हूँ मैं
या-रब ज़माना मुझ को मिटाता है किस लिए
लौह-ए-जहाँ पे हर्फ़-ए-मुकर्रर नहीं हूँ मैं
हद चाहिए सज़ा में उक़ूबत के वास्ते
आख़िर गुनाहगार हूँ काफ़र नहीं हूँ मैं
किस वास्ते अज़ीज़ नहीं जानते मुझे
लअ'ल ओ ज़मुर्रद ओ ज़र ओ गौहर नहीं हूँ मैं
रखते हो तुम क़दम मिरी आँखों से क्यूँ दरेग़
रुत्बे में महर-ओ-माह से कम-तर नहीं हूँ मैं
करते हो मुझ को मनअ-ए-क़दम-बोस किस लिए
क्या आसमान के भी बराबर नहीं हूँ मैं
'ग़ालिब' वज़ीफ़ा-ख़्वार हो दो शाह को दुआ
वो दिन गए कि कहते थे नौकर नहीं हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Anjam Shayari Shayari