hazaaron khwaahishein aisi ki har khwaahish pe dam nikle | हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी कि हर ख़्वाहिश पे दम निकले - Mirza Ghalib

hazaaron khwaahishein aisi ki har khwaahish pe dam nikle
bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle

dare kyun mera qaateel kya rahega us ki gardan par
vo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-b-dam nikle

nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
bahut be-aabroo ho kar tire kooche se hum nikle

bharam khul jaaye zalim tere qamat ki daraazi ka
agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

magar likhwaaye koi us ko khat to hum se likhwaaye
hui subh aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

hui is daur mein mansoob mujh se baada-aashaami
phir aaya vo zamaana jo jahaan mein jaam-e-jam nikle

hui jin se tavakko khastagi ki daad paane ki
vo hum se bhi ziyaada khasta-e-teg-e-sitam nikle

mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka
usi ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle

kahaan may-khaane ka darwaaza ghalib aur kahaan wa'iz
par itna jaante hain kal vo jaata tha ki hum nikle

हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी कि हर ख़्वाहिश पे दम निकले
बहुत निकले मिरे अरमान लेकिन फिर भी कम निकले

डरे क्यूँ मेरा क़ातिल क्या रहेगा उस की गर्दन पर
वो ख़ूँ जो चश्म-ए-तर से उम्र भर यूँ दम-ब-दम निकले

निकलना ख़ुल्द से आदम का सुनते आए हैं लेकिन
बहुत बे-आबरू हो कर तिरे कूचे से हम निकले

भरम खुल जाए ज़ालिम तेरे क़ामत की दराज़ी का
अगर इस तुर्रा-ए-पुर-पेच-ओ-ख़म का पेच-ओ-ख़म निकले

मगर लिखवाए कोई उस को ख़त तो हम से लिखवाए
हुई सुब्ह और घर से कान पर रख कर क़लम निकले

हुई इस दौर में मंसूब मुझ से बादा-आशामी
फिर आया वो ज़माना जो जहाँ में जाम-ए-जम निकले

हुई जिन से तवक़्क़ो' ख़स्तगी की दाद पाने की
वो हम से भी ज़ियादा ख़स्ता-ए-तेग़-ए-सितम निकले

मोहब्बत में नहीं है फ़र्क़ जीने और मरने का
उसी को देख कर जीते हैं जिस काफ़िर पे दम निकले

कहाँ मय-ख़ाने का दरवाज़ा 'ग़ालिब' और कहाँ वाइ'ज़
पर इतना जानते हैं कल वो जाता था कि हम निकले

- Mirza Ghalib
24 Likes

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari