har qadam doori-e-manzil hai numayaan mujh se | हर क़दम दूरी-ए-मंज़िल है नुमायाँ मुझ से - Mirza Ghalib

har qadam doori-e-manzil hai numayaan mujh se
meri raftaar se bhaage hai biyaabaan mujh se

dars-e-unwaan-e-tamaasha ba-taghaful khush-tar
hai nigaah rishta-e-sheeraaza-e-mizgaan mujh se

vahshat-e-aatish-e-dil se shab-e-tanhaai mein
soorat-e-dood raha saaya gurezaan mujh se

gh'am-e-ushshaq na ho saadgi-aamoz-e-butaan
kis qadar khaana-e-aaina hai veeraan mujh se

asar-e-aabla se jaada-e-sehra-e-junoon
soorat-e-rishta-e-gauhar hai charaaghaan mujh se

be-khudi bistar-e-tamheed-e-faraaghat ho jo
pur hai saaye ki tarah mera shabistaan mujh se

shauq-e-deedaar. mein gar tu mujhe gardan maare
ho nigaah misl-e-gul-e-shama pareshaan mujh se

bekasi-ha-e-shab-e-hijr ki vehshat hai hai
saaya khursheed-e-qayaamat mein hai pinhaan mujh se

gardish-e-saagar-e-sad-jalwa-e-rangeen tujh se
aaina-daari-e-yak-deeda-e-haira'n mujh se

nigah-e-garm se ek aag tapakti hai asad
hai charaaghaan khas-o-khaashaak-e-gulistaan mujh se

bastan-e-ahd-e-mohabbat hama nadaani tha
chashm-e-nakushooda raha uqda-e-paimaan mujh se

aatish-afroozi-e-yak-shola-e-eema tujh se
chashmak-aaraai-e-sad-shehar charaaghaan mujh se

हर क़दम दूरी-ए-मंज़िल है नुमायाँ मुझ से
मेरी रफ़्तार से भागे है बयाबाँ मुझ से

दर्स-ए-उनवान-ए-तमाशा ब-तग़ाफ़ुल ख़ुश-तर
है निगह रिश्ता-ए-शीराज़ा-ए-मिज़्गाँ मुझ से

वहशत-ए-आतिश-ए-दिल से शब-ए-तन्हाई में
सूरत-ए-दूद रहा साया गुरेज़ाँ मुझ से

ग़म-ए-उश्शाक़ न हो सादगी-आमोज़-ए-बुताँ
किस क़दर ख़ाना-ए-आईना है वीराँ मुझ से

असर-ए-आबला से जादा-ए-सहरा-ए-जुनूँ
सूरत-ए-रिश्ता-ए-गौहर है चराग़ाँ मुझ से

बे-ख़ुदी बिस्तर-ए-तम्हीद-ए-फ़राग़त हो जो
पुर है साए की तरह मेरा शबिस्ताँ मुझ से

शौक़-ए-दीदार में गर तू मुझे गर्दन मारे
हो निगह मिस्ल-ए-गुल-ए-शमा परेशाँ मुझ से

बेकसी-हा-ए-शब-ए-हिज्र की वहशत है है
साया ख़ुर्शीद-ए-क़यामत में है पिन्हाँ मुझ से

गर्दिश-ए-साग़र-ए-सद-जल्वा-ए-रंगीं तुझ से
आइना-दारी-ए-यक-दीदा-ए-हैराँ मुझ से

निगह-ए-गर्म से एक आग टपकती है 'असद'
है चराग़ाँ ख़स-ओ-ख़ाशाक-ए-गुलिस्ताँ मुझ से

बस्तन-ए-अहद-ए-मोहब्बत हमा नादानी था
चश्म-ए-नकुशूदा रहा उक़्दा-ए-पैमाँ मुझ से

आतिश-अफ़रोज़ी-ए-यक-शोला-ए-ईमा तुझ से
चश्मक-आराई-ए-सद-शहर चराग़ाँ मुझ से

- Mirza Ghalib
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari