maana-e-dasht-navardi koi tadbeer nahin | माना-ए-दश्त-नवर्दी कोई तदबीर नहीं

  - Mirza Ghalib

maana-e-dasht-navardi koi tadbeer nahin
ek chakkar hai mere paanv mein zanjeer nahin

shauq us dasht mein daudaae hai mujh ko ki jahaan
jaada gair az nigah-e-deeda-e-tasveer nahin

hasrat-e-lazzat-e-aazaar rahi jaati hai
jaada-e-raah-e-wafa juz dam-e-shamsheer nahin

ranj-e-naumeedi-e-jaaved gawara rahiyo
khush hoon gar naala-zabooni kash-e-taaseer nahin

sar khujata hai jahaan zakham-e-sar achha ho jaaye
lazzat-e-sang b-andaaz-e-taqreer nahin

jab karam rukhsat-e-bebaaki-o-gustaakhi de
koi taqseer b-juz khajlat-e-taqseer nahin

ghalib apna ye aqeeda hai b-qaul-e-'naasikh
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'meer nahin

meer ke sher ka ahvaal kahoon kya ghalib
jis ka deewaan kam-az-gulshan-e-kashmir nahin

aaina daam ko parde mein chhupata hai abas
ki pari-zaad-e-nazar qaabil-e-taskheer nahin

misl-e-gul zakham hai mera bhi sinaan se tavvaam
tera tarkash hi kuchh aabistani-e-teer nahin

माना-ए-दश्त-नवर्दी कोई तदबीर नहीं
एक चक्कर है मिरे पाँव में ज़ंजीर नहीं

शौक़ उस दश्त में दौड़ाए है मुझ को कि जहाँ
जादा ग़ैर अज़ निगह-ए-दीदा-ए-तस्वीर नहीं

हसरत-ए-लज़्ज़त-ए-आज़ार रही जाती है
जादा-ए-राह-ए-वफ़ा जुज़ दम-ए-शमशीर नहीं

रंज-ए-नौमीदी-ए-जावेद गवारा रहियो
ख़ुश हूँ गर नाला-ज़बूनी कश-ए-तासीर नहीं

सर खुजाता है जहाँ ज़ख़्म-ए-सर अच्छा हो जाए
लज़्ज़त-ए-संग ब-अंदाज़ा-ए-तक़रीर नहीं

जब करम रुख़्सत-ए-बेबाकी-ओ-गुस्ताख़ी दे
कोई तक़्सीर ब-जुज़ ख़जलत-ए-तक़सीर नहीं

'ग़ालिब' अपना ये अक़ीदा है ब-क़ौल-ए-'नासिख़'
आप बे-बहरा है जो मो'तक़िद-ए-'मीर' नहीं

'मीर' के शेर का अहवाल कहूँ क्या 'ग़ालिब'
जिस का दीवान कम-अज़-गुलशन-ए-कश्मीर नहीं

आईना दाम को पर्दे में छुपाता है अबस
कि परी-ज़ाद-ए-नज़र क़ाबिल-ए-तस्ख़ीर नहीं

मिस्ल-ए-गुल ज़ख़्म है मेरा भी सिनाँ से तव्वाम
तेरा तरकश ही कुछ आबिस्तनी-ए-तीर नहीं

  - Mirza Ghalib

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari