ye na thi hamaari qismat ki visaal-e-yaar hota | ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता

  - Mirza Ghalib

ye na thi hamaari qismat ki visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rahte yahi intizaar hota

tire wa'de par jiye ham to ye jaan jhooth jaana
ki khushi se mar na jaate agar e'tibaar hota

tiri nazuki se jaana ki bandha tha ahad boda
kabhi tu na tod saka agar ustuvaar hota

koi mere dil se pooche tire teer-e-neem-kash ko
ye khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota

ye kahaan ki dosti hai ki bane hain dost naaseh
koi chaarasaaz hota koi gham-gusaar hota

rag-e-sang se tapkata vo lahu ki phir na thamta
jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota

gham agarche jaan-gusil hai p kahaan bachenge ki dil hai
gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgaar hota

kahoon kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota

hue mar ke ham jo rusva hue kyun na ghark-e-dariya
na kabhi janaaza uthata na kahi mazaar hota

use kaun dekh saka ki yagaana hai vo yaktaa
jo dui ki boo bhi hoti to kahi do-chaar hota

ye masaail-e-tasavvuf ye tira bayaan ghalib
tujhe ham wali samjhte jo na baada-khwaar hota

ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता
अगर और जीते रहते यही इंतिज़ार होता

तिरे वा'दे पर जिए हम तो ये जान झूट जाना
कि ख़ुशी से मर न जाते अगर ए'तिबार होता

तिरी नाज़ुकी से जाना कि बँधा था अहद बोदा
कभी तू न तोड़ सकता अगर उस्तुवार होता

कोई मेरे दिल से पूछे तिरे तीर-ए-नीम-कश को
ये ख़लिश कहाँ से होती जो जिगर के पार होता

ये कहाँ की दोस्ती है कि बने हैं दोस्त नासेह
कोई चारासाज़ होता कोई ग़म-गुसार होता

रग-ए-संग से टपकता वो लहू कि फिर न थमता
जिसे ग़म समझ रहे हो ये अगर शरार होता

ग़म अगरचे जाँ-गुसिल है प कहाँ बचें कि दिल है
ग़म-ए-इश्क़ गर न होता ग़म-ए-रोज़गार होता

कहूँ किस से मैं कि क्या है शब-ए-ग़म बुरी बला है
मुझे क्या बुरा था मरना अगर एक बार होता

हुए मर के हम जो रुस्वा हुए क्यूँ न ग़र्क़-ए-दरिया
न कभी जनाज़ा उठता न कहीं मज़ार होता

उसे कौन देख सकता कि यगाना है वो यकता
जो दुई की बू भी होती तो कहीं दो-चार होता

ये मसाईल-ए-तसव्वुफ़ ये तिरा बयान 'ग़ालिब'
तुझे हम वली समझते जो न बादा-ख़्वार होता

  - Mirza Ghalib

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari