kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-moo aaye | कहते तो हो तुम सब कि बुत-ए-ग़ालिया-मू आए - Mirza Ghalib

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-moo aaye
yak martaba ghabra ke kaho koi ki vo aaye

hoon kashmakash-e-naz'a mein haan jazb-e-mohabbat
kuchh kah na sakoon par vo mere poochne ko aaye

hai saika o shola o seemaab ka aalam
aana hi samajh mein meri aata nahin go aaye

zaahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakeerain
haan munh se magar baadaa-e-dosheena ki boo aaye

jallaad se darte hain na wa'iz se jhagdate
ham samjhe hue hain use jis bhes mein jo aaye

haan ahl-e-talab kaun sune taana-e-na-yaft
dekha ki vo milta nahin apne hi ko kho aaye

apna nahin ye sheva ki aaraam se baitheen
us dar pe nahin baar to ka'be hi ko ho aaye

ki hum-nafson ne asar-e-giryaa mein taqreer
achhe rahe aap is se magar mujh ko dubo aaye

us anjuman-e-naaz ki kya baat hai ghalib
ham bhi gaye waan aur tiri taqdeer ko ro aaye

कहते तो हो तुम सब कि बुत-ए-ग़ालिया-मू आए
यक मर्तबा घबरा के कहो कोई कि वो आए

हूँ कशमकश-ए-नज़अ' में हाँ जज़्ब-ए-मोहब्बत
कुछ कह न सकूँ पर वो मिरे पूछने को आए

है साइक़ा ओ शो'ला ओ सीमाब का आलम
आना ही समझ में मिरी आता नहीं गो आए

ज़ाहिर है कि घबरा के न भागेंगे नकीरैन
हाँ मुँह से मगर बादा-ए-दोशीना की बू आए

जल्लाद से डरते हैं न वाइ'ज़ से झगड़ते
हम समझे हुए हैं उसे जिस भेस में जो आए

हाँ अहल-ए-तलब कौन सुने ताना-ए-ना-याफ़्त
देखा कि वो मिलता नहीं अपने ही को खो आए

अपना नहीं ये शेवा कि आराम से बैठें
उस दर पे नहीं बार तो का'बे ही को हो आए

की हम-नफ़सों ने असर-ए-गिर्या में तक़रीर
अच्छे रहे आप इस से मगर मुझ को डुबो आए

उस अंजुमन-ए-नाज़ की क्या बात है 'ग़ालिब'
हम भी गए वाँ और तिरी तक़दीर को रो आए

- Mirza Ghalib
0 Likes

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari