dil mein nafrat thi jali hain bastiyaan
le gaye vo saamne se arthiyaan
kah gaye aansu mere alfaaz vo
jo na theen kah paayi ye khaamoshiyaan
yun tamasha mat karo is pyaar ka
is tamaashe par lagi hain boliyaan
bewazah kaata gaya hai ye shazr
raund kar isko gayi theen aandhiyaan
aapne tanhaa banaya hai mujhe
kuchh to hongi aapki mazbooriyaan
ham chaman mein phir se laayenge aman
mandiron masjid ki karke sandhiyaan
दिल में नफ़रत थी जली हैं बस्तियाँ
ले गये वो सामने से अर्थियाँ
कह गये आँसू मिरे अल्फ़ाज वो
जो न थीं कह पायी ये ख़ामोशियाँ
यूँ तमाशा मत करो इस प्यार का
इस तमाशे पर लगी हैं बोलियाँ
बेवज़ह काटा गया है ये शज़र
रौंद कर इसको गयी थीं आँधियाँ
आपने तन्हा बनाया है मुझे
कुछ तो होंगी आपकी मज़बूरियाँ
हम चमन में फिर से लायेंगे अमन
मन्दिरों मस्ज़िद की करके सन्धियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Puneet Mishra Akshat
our suggestion based on Puneet Mishra Akshat
As you were reading Dushmani Shayari Shayari