jise chaaha wahi apna to dilbar ho nahin saka | जिसे चाहा वही अपना तो दिलबर हो नहीं सकता - Puneet Mishra Akshat

jise chaaha wahi apna to dilbar ho nahin saka
muhabbat ka sabab har dam mayassar ho nahin saka

kabhi ghar lag gaya daaman pe dhabba is zamaane ka
to kitna kuch bhi kar lo par vo behtar ho nahin saka

zala do aaj nafrat ko muhabbat ke hawaale se
jahaan par bair ho sabse kabhi ghar ho nahin saka

milega bas tumhein utna likha jitna naseebon mein
jise chahein wahi apna muqaddar ho nahin saka

juda hokar safar ke beech se phir chhod kar jaana
hamaara dil tumhaare dil-sa patthar ho nahin saka

जिसे चाहा वही अपना तो दिलबर हो नहीं सकता
मुहब्बत का सबब हर दम मयस्सर हो नहीं सकता

कभी ग़र लग गया दामन पे धब्बा इस ज़माने का
तो कितना कुछ भी कर लो पर वो बहतर हो नहीं सकता

ज़ला दो आज नफ़रत को मुहब्बत के हवाले से
जहॉ पर बैर हो सबसे कभी घर हो नहीं सकता

मिलेगा बस तुम्हें उतना लिखा जितना नसीबों में
जिसे चाहें वही अपना मुकद्दर हो नहीं सकता

जुदा होकर सफ़र के बीच से फिर छोड़ कर जाना
हमारा दिल तुम्हारे दिल-सा पत्थर हो नहीं सकता

- Puneet Mishra Akshat
6 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Puneet Mishra Akshat

As you were reading Shayari by Puneet Mishra Akshat

Similar Writers

our suggestion based on Puneet Mishra Akshat

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari