mujhe jo door se lagta tha aab ka dariya
gaya qareeb to paaya saraab ka dariya
kabhi savaab ke saahil se lag nahin sakti
vo naav jis ke liye hai azaab ka dariya
b-zaahir aab-e-ravaan ka jo ik khazana hai
haqeeqatan hai vo dariya habaab ka dariya
mutaala ki jo waadi se ho ke bahta hai
vo hai meri nigah-e-intikhaab ka dariya
parind-e-fikr ki parvaaz jab hui hai buland
falak se arsh pe utara sahaab ka dariya
haqeeqaton ke jo saahil ko chhod kar bhatke
mila hai un ko tasavvur mein khwaab ka dariya
saraab-e-dasht mein pyaason ke vaaste naadim
baha diya hai sakhaawat ke aab ka dariya
मुझे जो दूर से लगता था आब का दरिया
गया क़रीब तो पाया सराब का दरिया
कभी सवाब के साहिल से लग नहीं सकती
वो नाव जिस के लिए है अज़ाब का दरिया
ब-ज़ाहिर आब-ए-रवाँ का जो इक ख़ज़ाना है
हक़ीक़तन है वो दरिया हबाब का दरिया
मुताला की जो वादी से हो के बहता है
वो है मिरी निगह-ए-इंतिख़ाब का दरिया
परिंद-ए-फ़िक्र की परवाज़ जब हुई है बुलंद
फ़लक से अर्श पे उतरा सहाब का दरिया
हक़ीक़तों के जो साहिल को छोड़ कर भटके
मिला है उन को तसव्वुर में ख़्वाब का दरिया
सराब-ए-दश्त में प्यासों के वास्ते 'नादिम'
बहा दिया है सख़ावत के आब का दरिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadim Balkhi
our suggestion based on Nadim Balkhi
As you were reading Samundar Shayari Shayari