hai talkh-tar hayaat is sharaab se
tu ishq haar dega ijtinaab se
kahaaniyaan dahak rahi hain raat ki
badan uljh rahe hain mahtaab se
khuda-e-khwaab khema-zan tha aankh mein
so dil chatkh raha tha iztiraab se
main raushni ke beej bo ke so gaya
charaagh ug rahe hain kisht-e-khwaab se
rafu-garo ham aise khasta-tan yahan
udhad udhad ke aayenge saraab se
raza ye khushbuon ka zaa'ika nahin
jo ris raha hai jism ke gulaab se
है तल्ख़-तर हयात इस शराब से
तू इश्क़ हार देगा इज्तिनाब से
कहानियाँ दहक रही हैं रात की
बदन उलझ रहे हैं माहताब से
ख़ुदा-ए-ख़्वाब ख़ेमा-ज़न था आँख में
सो दिल चटख़ रहा था इज़्तिराब से
मैं रौशनी के बीज बो के सो गया
चराग़ उग रहे हैं किश्त-ए-ख़्वाब से
रफू-गरो हम ऐसे ख़स्ता-तन यहाँ
उधड़ उधड़ के आएँगे सराब से
'रज़ा' ये ख़ुशबुओं का ज़ाइक़ा नहीं
जो रिस रहा है जिस्म के गुलाब से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Raza Bhatti
our suggestion based on Naeem Raza Bhatti
As you were reading Life Shayari Shayari