jis se falak padegi dil-e-paayemaal mein
vo kahkashaan nahin hai tire khadd-o-khaal mein
vo raat meri neend ka qaziya utha na de
din kaatta hoon ab main isee ehtimaal mein
khwaabidagi ki taab ubhaarunga she'r mein
tera jamaal oongh raha hai khayal mein
ab geeli lakdiyon ka bahaana fuzool hai
din bhar se aag ghoom rahi hai jalaal mein
ya'ni ye jism apni khanak se khada hua
ya ikhtiyaar-e-aab se utara sifaal mein
जिस से फ़लक पड़ेगी दिल-ए-पाएमाल में
वो कहकशाँ नहीं है तिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल में
वो रात मेरी नींद का क़ज़िया उठा न दे
दिन काटता हूँ अब मैं इसी एहतिमाल में
ख़्वाबीदगी की ताब उभारूँगा शे'र में
तेरा जमाल ऊँघ रहा है ख़याल में
अब गीली लकड़ियों का बहाना फ़ुज़ूल है
दिन भर से आग घूम रही है जलाल में
या'नी ये जिस्म अपनी खनक से खड़ा हुआ
या इख़्तियार-ए-आब से उतरा सिफ़ाल में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Raza Bhatti
our suggestion based on Naeem Raza Bhatti
As you were reading Neend Shayari Shayari