dil-e-darvesh ki dua se utha
ye hayoola sa jo hawa se utha
jism uljha magar thakan utri
par jo ik karb naharva se utha
nashsha-e-khwaab ba'd mein utara
pehle khushnoodi-e-wala se utha
shehr-e-sar-mast mein shafaq utri
aur manzar koi wara se utha
is ko main inqilaab kehta hoon
ye jo inkaar ki fazaa se utha
दिल-ए-दरवेश की दुआ से उठा
ये हयूला सा जो हवा से उठा
जिस्म उलझा मगर थकन उतरी
पर जो इक कर्ब नहरवा से उठा
नश्शा-ए-ख़्वाब बअ'द में उतरा
पहले ख़ुशनूदी-ए-वला से उठा
शहर-ए-सर-मस्त में शफ़क़ उतरी
और मंज़र कोई वरा से उठा
इस को मैं इंक़लाब कहता हूँ
ये जो इंकार की फ़ज़ा से उठा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Raza Bhatti
our suggestion based on Naeem Raza Bhatti
As you were reading Khushboo Shayari Shayari