ab kisi ko kya bataayein kis qadar naadaan the
ham wahin kashti ko le aaye jahaan toofaan the
kuchh tadapati aarzooen chand be-ma'ni sawaal
kaarwaan mein sab ke sar par bas yahi samaan the
ham ne is duniya ke may-khaane mein ye dekha fareb
bas wahin pyaase rahe jo saahib-e-imaan the
zalzalon par aa gaya ilzaam achha hi hua
warna is takhreeb ke pehle se bhi imkaan the
un ghamon ne dil mein sadiyon ke vaseele kar liye
jo faqat do-chaar din ke vaaste mehmaan the
bas yahi sach hai ki ham ab un ki mahkoomi mein hain
jo nafs apni haveli mein kabhi darbaan the
अब किसी को क्या बताएँ किस क़दर नादान थे
हम वहीं कश्ती को ले आए जहाँ तूफ़ान थे
कुछ तड़पती आरज़ूएँ चंद बे-मा'नी सवाल
कारवाँ में सब के सर पर बस यही सामान थे
हम ने इस दुनिया के मय-ख़ाने में ये देखा फ़रेब
बस वही प्यासे रहे जो साहिब-ए-ईमान थे
ज़लज़लों पर आ गया इल्ज़ाम अच्छा ही हुआ
वर्ना इस तख़रीब के पहले से भी इम्कान थे
उन ग़मों ने दिल में सदियों के वसीले कर लिए
जो फ़क़त दो-चार दिन के वास्ते मेहमान थे
बस यही सच है कि हम अब उन की महकूमी में हैं
जो 'नफ़स' अपनी हवेली में कभी दरबान थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafas Ambalvi
our suggestion based on Nafas Ambalvi
As you were reading Mehman Shayari Shayari