yun nahin tha ki teergi kam thi
dhoop se apni dosti kam thi
khwahishon ke hujoom the lekin
apne hisse mein zindagi kam thi
tum na aaye to bas hua itna
kal charaagon mein raushni kam thi
haan vo hans kar nahin mila phir bhi
us ki baaton mein be-rukhi kam thi
gham use bhi na tha bichhadne ka
meri aankhon mein bhi nami kam thi
kuchh taghaful-mizaaj tha saaqi
aur kuchh apni pyaas bhi kam thi
us ka lahja to khoob tha lekin
us ke sher'on mein shaay'ri kam thi
kyun mujhe de gaya vo sannaate
kya mere ghar mein khaamoshi kam thi
यूँ नहीं था कि तीरगी कम थी
धूप से अपनी दोस्ती कम थी
ख़्वाहिशों के हुजूम थे लेकिन
अपने हिस्से में ज़िंदगी कम थी
तुम न आए तो बस हुआ इतना
कल चराग़ों में रौशनी कम थी
हाँ वो हँस कर नहीं मिला फिर भी
उस की बातों में बे-रुख़ी कम थी
ग़म उसे भी न था बिछड़ने का
मेरी आँखों में भी नमी कम थी
कुछ तग़ाफ़ुल-मिज़ाज था साक़ी
और कुछ अपनी प्यास भी कम थी
उस का लहजा तो ख़ूब था लेकिन
उस के शे'रों में शाइ'री कम थी
क्यूँ मुझे दे गया वो सन्नाटे
क्या मिरे घर में ख़ामुशी कम थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafas Ambalvi
our suggestion based on Nafas Ambalvi
As you were reading Andhera Shayari Shayari