yun to khud apne hi saaye se bhi dar jaate hain log
haadse kaise bhi hon lekin guzar jaate hain log
jab mujhe dushwaariyon se roo-b-roo hona pada
tab main samjha reza reza kyun bikhar jaate hain log
sirf ghaaza hi nahin chehron ki ra'naai ka raaz
shiddat-e-gham ki tapish se bhi nikhar jaate hain log
masale aa kar lipt jaate hain bacchon ki tarah
shaam ko jab laut kar daftar se ghar jaate hain log
har nafs mar mar ke jeete hain tujhe ai zindagi
aur jeene ki tamannaa mein hi mar jaate hain log
यूँ तो ख़ुद अपने ही साए से भी डर जाते हैं लोग
हादसे कैसे भी हों लेकिन गुज़र जाते हैं लोग
जब मुझे दुश्वारियों से रू-ब-रू होना पड़ा
तब मैं समझा रेज़ा रेज़ा क्यूँ बिखर जाते हैं लोग
सिर्फ़ ग़ाज़ा ही नहीं चेहरों की रा'नाई का राज़
शिद्दत-ए-ग़म की तपिश से भी निखर जाते हैं लोग
मसअले आ कर लिपट जाते हैं बच्चों की तरह
शाम को जब लौट कर दफ़्तर से घर जाते हैं लोग
हर 'नफ़स' मर मर के जीते हैं तुझे ऐ ज़िंदगी
और जीने की तमन्ना में ही मर जाते हैं लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafas Ambalvi
our suggestion based on Nafas Ambalvi
As you were reading Raaz Shayari Shayari