us ko kho dene ka ehsaas to kam baaki hai
jo hua vo na hua hota ye gham baaki hai
ab na vo chat hai na vo zeena na angoor ki bel
sirf ik us ko bhulaane ki qasam baaki hai
main ne poocha tha sabab ped ke gir jaane ka
uth ke maali ne kaha us ki qalam baaki hai
jang ke faisley maidaan mein kahaan hote hain
jab talak haafeze baaki hain alam baaki hai
thak ke girta hai hiran sirf shikaari ke liye
jism ghaayal hai magar aankhon mein ram baaki hai
उस को खो देने का एहसास तो कम बाक़ी है
जो हुआ वो न हुआ होता ये ग़म बाक़ी है
अब न वो छत है न वो ज़ीना न अंगूर की बेल
सिर्फ़ इक उस को भुलाने की क़सम बाक़ी है
मैं ने पूछा था सबब पेड़ के गिर जाने का
उठ के माली ने कहा उस की क़लम बाक़ी है
जंग के फ़ैसले मैदाँ में कहाँ होते हैं
जब तलक हाफ़िज़े बाक़ी हैं अलम बाक़ी है
थक के गिरता है हिरन सिर्फ़ शिकारी के लिए
जिस्म घायल है मगर आँखों में रम बाक़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Dushmani Shayari Shayari