ek raahi ajnabi ki rahnumaai ki taraf | एक राही अजनबी की रहनुमाई की तरफ़ - Nikhil

ek raahi ajnabi ki rahnumaai ki taraf
chal pada tha ishq mein main intihaai ki taraf

aaj kal par taalte the ismein hum bhi kya karein
kheenchta tha koi hamko chaarpaai ki taraf

mushkilon se paar karta hoon nadi ye shab ko main
subh le aati hai phir se ibtidaai ki taraf

teergi ke beech mein lekar shamaa ko haath mein
raat bhar chalta raha main roshnai ki taraf

aarzoo ye hai meri maatha vo mera choom kar
gaur bhi chahe na karna jag-hansaai ki taraf

bad-naseebi aur bahaane hain hi dil bahaalne ko
raat hai hi raushni ki aazmaai ki taraf

tair saka tha kisi main competition mein magar
bebaasi le aayi mujhko na khudaai ki taraf

na-ummeedi is qadar ghar kar gai seene mein phir
mar gaya vo dekhta rakhi davaai ki taraf

main to sozo saaz mein uske taraane gaata hoon
vo bhi meri tarah ho is hamnavaai ki taraf

jo puraana ho gaya maatam ka gaana ho gaya
gaur karta hai kahaan koi bhi kaai ki taraf

एक राही अजनबी की रहनुमाई की तरफ़
चल पड़ा था इश्क़ में मैं इंतिहाई की तरफ़

आज कल पर टालते थे इसमें हम भी क्या करें
खींचता था कोइ हमको चारपाई की तरफ़

मुश्किलों से पार करता हूँ नदी ये शब को मैं
सुब्ह ले आती है फिर से इब्तिदाई की तरफ़

तीरगी के बीच में लेकर शमआ को हाथ में
रात भर चलता रहा मैं रौशनाई की तरफ़

आरज़ू ये है मेरी, माथा वो मेरा चूम कर
गौर भी चाहे न करना जग-हँसाई की तरफ़

बद-नसीबी और बहाने हैं ही दिल बहलाने को
रात है ही रौशनी की आज़माई की तरफ़

तैर सकता था किसी मैं कंपटीशन में मगर
बेबसी ले आई मुझको ना खुदाई की तरफ़

ना-उम्मीदी इस क़दर घर कर गई सीने में फिर
मर गया वो देखता रक्खी दवाई की तरफ़

मैं तो सोज़ो साज़ में उसके तराने गाता हूँ
वो भी मेरी तरह हो इस हमनवाई की तरफ़

जो पुराना हो गया मातम का गाना हो गया
गौर करता है कहाँ कोई भी काई की तरफ़

- Nikhil
4 Likes

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nikhil

As you were reading Shayari by Nikhil

Similar Writers

our suggestion based on Nikhil

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari