us ke partav se hua hai zaafraani rang ka | उस के परतव से हुआ है ज़ाफ़रानी रंग का

  - Obaid Siddiqi

us ke partav se hua hai zaafraani rang ka
aaina to aaj bhi hai kahkashaani rang ka

hijr ke baadal chatte to vasl ki taqweem mein
dil huwaida ho raha hai gulsitaani rang ka

pairhan us ka hai aisa ya jhalakta hai badan
ik paree-vash raqs mein hai urghuvaani rang ka

aaj ki shab khaas hogi jab sunaaunga use
ek qissa apna zaati dastaani rang ka

doston ki meherbaani se hua ye kaam bhi
main ne dekha hi nahin tha khoon paani rang ka

gar dilon se yun dhuaan uthata rahega raat din
aasmaan kaise bachega aasmaani rang ka

haan usi ne phool taanke honge in ashjaar par
jis ne mitti ko diya hai jubba dhaani rang ka

उस के परतव से हुआ है ज़ाफ़रानी रंग का
आईना तो आज भी है कहकशानी रंग का

हिज्र के बादल छटे तो वस्ल की तक़्वीम में
दिल हुवैदा हो रहा है गुल्सितानी रंग का

पैरहन उस का है ऐसा या झलकता है बदन
इक परी-वश रक़्स में है उर्ग़ुवानी रंग का

आज की शब ख़ास होगी जब सुनाऊँगा उसे
एक क़िस्सा अपना ज़ाती दास्तानी रंग का

दोस्तों की मेहरबानी से हुआ ये काम भी
मैं ने देखा ही नहीं था ख़ून पानी रंग का

गर दिलों से यूँ धुआँ उठता रहेगा रात दिन
आसमाँ कैसे बचेगा आसमानी रंग का

हाँ उसी ने फूल टाँके होंगे इन अश्जार पर
जिस ने मिट्टी को दिया है जुब्बा धानी रंग का

  - Obaid Siddiqi

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari