hamein kuchh aur jeena hai to dil ko shaad rakkhenge
bahut kuchh bhool jaayenge bahut kuchh yaad rakkhenge
abhi kuchh aur kartab dekhne bhi hain dikhaane bhi
tamaasha-gaah-e-aalam ham tujhe aabaad rakkhenge
agar ghar ka khayal aaya to rasta bhool jaayenge
safar mein dasht ko jaate hue ham yaad rakkhenge
muqaabil aayenge har baar taaza hausla le kar
tujhe ham aazmaish mein sitam-iijaad rakkhenge
puraani ho gai duniya use mismar karna hai
nayi taameer ki khaatir nayi buniyaad rakkhenge
हमें कुछ और जीना है तो दिल को शाद रक्खेंगे
बहुत कुछ भूल जाएँगे बहुत कुछ याद रक्खेंगे
अभी कुछ और करतब देखने भी हैं दिखाने भी
तमाशा-गाह-ए-आलम हम तुझे आबाद रक्खेंगे
अगर घर का ख़याल आया तो रस्ता भूल जाएँगे
सफ़र में दश्त को जाते हुए हम याद रक्खेंगे
मुक़ाबिल आएँगे हर बार ताज़ा हौसला ले कर
तुझे हम आज़माइश में सितम-ईजाद रक्खेंगे
पुरानी हो गई दुनिया उसे मिस्मार करना है
नई तामीर की ख़ातिर नई बुनियाद रक्खेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Raasta Shayari Shayari