ye shehr-e-tarab dekh bayaabaan mein kya hai | ये शहर-ए-तरब देख बयाबान में क्या है

  - Obaid Siddiqi

ye shehr-e-tarab dekh bayaabaan mein kya hai
ai taair-e-wahshat tire imkaan mein kya hai

jugnoo ki tarah firte hain taare mere dil mein
kis soch mein gum hoon ye mere dhyaan mein kya hai

kya un pe guzarti hai suno un ki zabaani
zakhamon se kabhi poocho namk-daan mein kya hai

inkaar se iqaar ka rishta hai bhala kya
ye kufr ki soorat mere eimaan mein kya hai

yaadon ki ghani chaanv hai ya gham ki siyaahi
ashjaar-sifat sehan-e-dil-o-jaan mein kya hai

ये शहर-ए-तरब देख बयाबान में क्या है
ऐ ताइर-ए-वहशत तिरे इम्कान में क्या है

जुगनू की तरह फिरते हैं तारे मिरे दिल में
किस सोच में गुम हूँ ये मिरे ध्यान में क्या है

क्या उन पे गुज़रती है सुनो उन की ज़बानी
ज़ख़्मों से कभी पूछो नमक-दान में क्या है

इंकार से इक़रार का रिश्ता है भला क्या
ये कुफ़्र की सूरत मिरे ईमान में क्या है

यादों की घनी छाँव है या ग़म की सियाही
अश्जार-सिफ़त सेहन-ए-दिल-ओ-जान में क्या है

  - Obaid Siddiqi

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari