kaar-e-duniya ke taqaazon ko nibhaane mein kati | कार-ए-दुनिया के तक़ाज़ों को निभाने में कटी

  - Obaid Siddiqi

kaar-e-duniya ke taqaazon ko nibhaane mein kati
zindagi ret ki deewaar uthaane mein kati

ab bhi raushan hai tire dil mein mohabbat ka diya
raat phir sham-e-yaqeen-saaz jalane mein kati

tishnagi vo thi koi kaar-e-wafa ho na saka
umr-e-be-maaya faqat pyaas bujhaane mein kati

saa'at-e-wasl jo dekhe the khud-o-khaal tire
hijr ki shab wahi tasveer banaane mein kati

ek angusht-e-shahaadat ki abhi baaki thi
vo bhi is baar tiri samt uthaane mein kati

कार-ए-दुनिया के तक़ाज़ों को निभाने में कटी
ज़िंदगी रेत की दीवार उठाने में कटी

अब भी रौशन है तिरे दिल में मोहब्बत का दिया
रात फिर शम-ए-यक़ीं-साज़ जलाने में कटी

तिश्नगी वो थी कोई कार-ए-वफ़ा हो न सका
उम्र-ए-बे-माया फ़क़त प्यास बुझाने में कटी

साअत-ए-वस्ल जो देखे थे ख़द-ओ-ख़ाल तिरे
हिज्र की शब वही तस्वीर बनाने में कटी

एक अंगुश्त-ए-शहादत कि अभी बाक़ी थी
वो भी इस बार तिरी सम्त उठाने में कटी

  - Obaid Siddiqi

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari