kab tak us ka hijr manaata sehra chhod diya
jeene ki ummeed mein main ne kya kya chhod diya
mere saath laga rehta hai yaadon ka baadal
dhoop-bhare raston par us ne saaya chhod diya
har chehre par ik chehre ka dhoka hota hai
kis ne mujh ko is basti mein tanhaa chhod diya
duniya sab kuchh jaan gai hai mere baare mein
bint-e-alam ne na-mahram se parda chhod diya
pehle pehle khauf bahut aata tha marne se
phir vo manzil aayi main ne darna chhod diya
कब तक उस का हिज्र मनाता सहरा छोड़ दिया
जीने की उम्मीद में मैं ने क्या क्या छोड़ दिया
मेरे साथ लगा रहता है यादों का बादल
धूप-भरे रस्तों पर उस ने साया छोड़ दिया
हर चेहरे पर इक चेहरे का धोका होता है
किस ने मुझ को इस बस्ती में तन्हा छोड़ दिया
दुनिया सब कुछ जान गई है मेरे बारे में
बिंत-ए-अलम ने ना-महरम से पर्दा छोड़ दिया
पहले पहले ख़ौफ़ बहुत आता था मरने से
फिर वो मंज़िल आई मैं ने डरना छोड़ दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Charagh Shayari Shayari