dayaar-e-khwaab se aage safar karne ka din hai
to kya ye qissa-e-jaan mukhtasar karne ka din hai
bulaava aa gaya hai phir mujhe sehra-navardi ka
yahi to zindagi ko hum-safar karne ka din hai
mujhe raqs-e-junoon karna padega shaam hone tak
mudaaraat-e-hujoom-e-deeda-tar karne ka din hai
khizaan ki bad-havaasi us ke chehre se hai zaahir
jahaan ko mausam-e-gul ki khabar karne ka din hai
ye khaashaak-e-sama'at khaak hona chahte hain
zabaan ko aaj apni shola-gar karne ka din hai
hua hai deedaani manzar zameen se aasmaan ka
qafas mein aarzoo-e-baal-o-par karne ka din hai
दयार-ए-ख़्वाब से आगे सफ़र करने का दिन है
तो क्या ये क़िस्सा-ए-जाँ मुख़्तसर करने का दिन है
बुलावा आ गया है फिर मुझे सहरा-नवर्दी का
यही तो ज़िंदगी को हम-सफ़र करने का दिन है
मुझे रक़्स-ए-जुनूँ करना पड़ेगा शाम होने तक
मुदारात-ए-हुजूम-ए-दीदा-तर करने का दिन है
ख़िज़ाँ की बद-हवासी उस के चेहरे से है ज़ाहिर
जहाँ को मौसम-ए-गुल की ख़बर करने का दिन है
ये ख़ाशाक-ए-समाअत ख़ाक होना चाहते हैं
ज़बाँ को आज अपनी शोला-गर करने का दिन है
हुआ है दीदनी मंज़र ज़मीं से आसमाँ का
क़फ़स में आरज़ू-ए-बाल-ओ-पर करने का दिन है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Safar Shayari Shayari