kabhi kabhi ye soona-pan khal jaata hai | कभी कभी ये सूना-पन खल जाता है

  - Obaid Siddiqi

kabhi kabhi ye soona-pan khal jaata hai
bas ik lamha aata hai tal jaata hai

tujh se mujh ko bair sahi par kabhi kabhi
duniya tera jaadu bhi chal jaata hai

jaan liya hai lekin maanna baaki hai
tu saaya hai aur saaya dhal jaata hai

ik din main ashkon mein yun ghul jaaunga
jaise kaaghaz baarish mein gal jaata hai

kis ke qabze mein hai khazana ujaalon ka
kaun zameen par taarikee mal jaata hai

is ko teri yaad kahoon ya apni yaad
shaam se pehle ek diya jal jaata hai

कभी कभी ये सूना-पन खल जाता है
बस इक लम्हा आता है टल जाता है

तुझ से मुझ को बैर सही पर कभी कभी
दुनिया तेरा जादू भी चल जाता है

जान लिया है लेकिन मानना बाक़ी है
तू साया है और साया ढल जाता है

इक दिन मैं अश्कों में यूँ घुल जाऊँगा
जैसे काग़ज़ बारिश में गल जाता है

किस के क़ब्ज़े में है ख़ज़ाना उजालों का
कौन ज़मीं पर तारीकी मल जाता है

इस को तेरी याद कहूँ या अपनी याद
शाम से पहले एक दिया जल जाता है

  - Obaid Siddiqi

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari