khwaab aankhon mein sawaali hi rahe
kaasa-e-taabeer khaali hi rahe
raqs karti khwahishon ke zer-e-paa
dil shikaar-e-paayemaali hi rahe
khaak ho jaate lahu ki aag mein
jism ke kooze sifaali hi rahe
zindagi in se siva nikli yahan
falsafe saare khayaali hi rahe
sabza-e-maidaan pe kab utri khizaan
shor is ka daali daali hi rahe
chaand nikla to gazab dhaa jaayega
raat behtar hai ye kaali hi rahe
ख़्वाब आँखों में सवाली ही रहे
कासा-ए-ताबीर ख़ाली ही रहे
रक़्स करती ख़्वाहिशों के ज़ेर-ए-पा
दिल शिकार-ए-पाएमाली ही रहे
ख़ाक हो जाते लहू की आग में
जिस्म के कूज़े सिफ़ाली ही रहे
ज़िंदगी इन से सिवा निकली यहाँ
फ़लसफ़े सारे ख़याली ही रहे
सब्ज़ा-ए-मैदाँ पे कब उतरी ख़िज़ाँ
शोर इस का डाली डाली ही रहे
चाँद निकला तो ग़ज़ब ढा जाएगा
रात बेहतर है ये काली ही रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Jashn Shayari Shayari