zameen baar-ha badli zamaan nahin badla
isee liye to ye mera jahaan nahin badla
na aarzoo koi badli na meri mehroomi
badal gaya hai raviya samaan nahin badla
udaasi aaj bhi waisi hai jaise pehle thi
makeen badalte rahe hain makaan nahin badla
kabhi charaagh kabhi dil jala ke dekh liya
zara sa rang to badla dhuaan nahin badla
parinde ab bhi chahakte hain gul mehakte hain
suna hai kuchh bhi abhi tak wahan nahin badla
dilon ka dard kisi taur kam nahin hoga
agar tasavvur-e-sood-o-ziyaan nahin badla
ज़मीन बार-हा बदली ज़माँ नहीं बदला
इसी लिए तो ये मेरा जहाँ नहीं बदला
न आरज़ू कोई बदली न मेरी महरूमी
बदल गया है रवैया समाँ नहीं बदला
उदासी आज भी वैसी है जैसे पहले थी
मकीं बदलते रहे हैं मकाँ नहीं बदला
कभी चराग़ कभी दिल जला के देख लिया
ज़रा सा रंग तो बदला धुआँ नहीं बदला
परिंदे अब भी चहकते हैं गुल महकते हैं
सुना है कुछ भी अभी तक वहाँ नहीं बदला
दिलों का दर्द किसी तौर कम नहीं होगा
अगर तसव्वुर-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ नहीं बदला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Rang Shayari Shayari