yaqeenan ham ko ghar achhe lage the | यक़ीनन हम को घर अच्छे लगे थे

  - Obaid Siddiqi

yaqeenan ham ko ghar achhe lage the
makeen pehle magar achhe lage the

use ruksat kiya aur us se pehle
yahi deewar-o-dar achhe lage the

vo dariya hijr ka tha tund dariya
udaasi ke bhanwar achhe lage the

hamaare haath mein patthar ka aana
darakhton par samar achhe lage the

saubat to safar mein laazmi thi
magar kuchh hum-safar achhe lage the

vo chehre jin pe raushan thi sadaqat
lahu mein tar-b-tar achhe lage the

यक़ीनन हम को घर अच्छे लगे थे
मकीं पहले मगर अच्छे लगे थे

उसे रुख़्सत किया और उस से पहले
यही दीवार-ओ-दर अच्छे लगे थे

वो दरिया हिज्र का था तुंद दरिया
उदासी के भँवर अच्छे लगे थे

हमारे हाथ में पत्थर का आना
दरख़्तों पर समर अच्छे लगे थे

सऊबत तो सफ़र में लाज़मी थी
मगर कुछ हम-सफ़र अच्छे लगे थे

वो चेहरे जिन पे रौशन थी सदाक़त
लहू में तर-ब-तर अच्छे लगे थे

  - Obaid Siddiqi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari