tu bhi fariyaadi hua tha iltijaa main ne bhi ki | तू भी फ़रियादी हुआ था इल्तिजा मैं ने भी की

  - Obaid Siddiqi

tu bhi fariyaadi hua tha iltijaa main ne bhi ki
tu na tha mujrim akela haan khata main ne bhi ki

zulm dono ne kiya tha dono the is mein shareek
ibtida gar tu ne ki to intiha main ne bhi ki

sirf tu ne hi nahin ki justuju-e-chaara-gar
dard jab had se badha to kuchh dava main ne bhi ki

kis ne kya maanga falak se aur kis ko kya mila
haath tu ne bhi uthaaye the dua main ne bhi ki

main tira hissa na ban paaya ye achha hi hua
go ye khwaahish ai hujoom-dil-ruba main ne bhi ki

sabza-e-begaana se rishta mera kuchh kam nahin
is chaman ki aabyaari ai ghatta main ne bhi ki

तू भी फ़रियादी हुआ था इल्तिजा मैं ने भी की
तू न था मुजरिम अकेला हाँ ख़ता मैं ने भी की

ज़ुल्म दोनों ने किया था दोनों थे इस में शरीक
इब्तिदा गर तू ने की तो इंतिहा मैं ने भी की

सिर्फ़ तू ने ही नहीं की जुस्तुजू-ए-चारा-गर
दर्द जब हद से बढ़ा तो कुछ दवा मैं ने भी की

किस ने क्या माँगा फ़लक से और किस को क्या मिला
हाथ तू ने भी उठाए थे दुआ मैं ने भी की

मैं तिरा हिस्सा न बन पाया ये अच्छा ही हुआ
गो ये ख़्वाहिश ऐ हुजूम-दिल-रुबा मैं ने भी की

सब्ज़ा-ए-बेगाना से रिश्ता मिरा कुछ कम नहीं
इस चमन की आबयारी ऐ घटा मैं ने भी की

  - Obaid Siddiqi

Inquilab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Inquilab Shayari Shayari