kya phir zameen dil ki namnaak ho rahi hai | क्या फिर ज़मीन दिल की नमनाक हो रही है

  - Obaid Siddiqi

kya phir zameen dil ki namnaak ho rahi hai
ik bel aarzoo ki pechaak ho rahi hai

yalghaar kar raha hai ik raushni ka lashkar
tareekiyo ki chadar phir chaak ho rahi hai

us ko sikha raha hai ayyaariyaan zamaana
duniya bhi rafta rafta chaalaak ho rahi hai

us ne bana diya hai maatam-kada jahaan ko
khilqat fasuregi ki khooraak ho rahi hai

us ke sabab se jeena dushwaar ho gaya hai
is baat ki mazammat kya khaak ho rahi hai

क्या फिर ज़मीन दिल की नमनाक हो रही है
इक बेल आरज़ू की पेचाक हो रही है

यलग़ार कर रहा है इक रौशनी का लश्कर
तारीकियों की चादर फिर चाक हो रही है

उस को सिखा रहा है अय्यारियाँ ज़माना
दुनिया भी रफ़्ता रफ़्ता चालाक हो रही है

उस ने बना दिया है मातम-कदा जहाँ को
ख़िल्क़त फ़सुर्दगी की ख़ूराक हो रही है

उस के सबब से जीना दुश्वार हो गया है
इस बात की मज़म्मत क्या ख़ाक हो रही है

  - Obaid Siddiqi

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari