hawaa-e-shaam na jaane kahaan se aati hai
wahan gulaab bahut hain jahaan se aati hai
ye kis ka chehra damkata hai meri aankhon mein
ye kis ki yaad mujhe kahkashaan se aati hai
isee falak se utarta hai ye andhera bhi
ye raushni bhi isee aasmaan se aati hai
ye kis ne khaak uda di hai laala-zaaro mein
zameen pe aisi tabaahi kahaan se aati hai
sadaa-e-giryaa jise ek main hi sunta hoon
hujoom-e-shahr tire darmiyaan se aati hai
हवा-ए-शाम न जाने कहाँ से आती है
वहाँ गुलाब बहुत हैं जहाँ से आती है
ये किस का चेहरा दमकता है मेरी आँखों में
ये किस की याद मुझे कहकशाँ से आती है
इसी फ़लक से उतरता है ये अँधेरा भी
ये रौशनी भी इसी आसमाँ से आती है
ये किस ने ख़ाक उड़ा दी है लाला-ज़ारों में
ज़मीं पे ऐसी तबाही कहाँ से आती है
सदा-ए-गिर्या जिसे एक मैं ही सुनता हूँ
हुजूम-ए-शहर तिरे दरमियाँ से आती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Raushni Shayari Shayari