aisi tan-aasaani se
baaz aa ja nadaani se
jeena mushkil hota hai
itni nukta-daani se
sehra bhi sharmaata hai
is dil ki veeraani se
laaj kahaan tak aayegi
khwaabon ki uryaani se
pyaas nahin bujh paati hai
dariya ki darbaani se
peecha kaun chhuda paaya
is duniya-deewani se
ऐसी तन-आसानी से
बाज़ आ जा नादानी से
जीना मुश्किल होता है
इतनी नुक्ता-दानी से
सहरा भी शरमाता है
इस दिल की वीरानी से
लाज कहाँ तक आएगी
ख़्वाबों की उर्यानी से
प्यास नहीं बुझ पाती है
दरिया की दरबानी से
पीछा कौन छुड़ा पाया
इस दुनिया-दीवानी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Sharm Shayari Shayari