baithe bithaaye aaj phir kis ka khayal aa gaya
chehre ka rang ud gaya rang-e-malaal aa gaya
uljhan mein pad gaya hoon main dil ka karoon to kya karoon
sheesha nahin ye kaam ka is mein to baal aa gaya
poora na kar sakunga ab tujh se kabhi mukaalima
aankhen theen mahv-e-guftugu dil ka sawaal aa gaya
karne hai tark jis jagah teri talaash-o-aarzoo
sehra mein ab maqaam vo mere ghazaal aa gaya
rooi ki tarah shehar mein udne lagi hai ye khabar
us ko hi bas pata nahin us ka zawaal aa gaya
main ne to apna aaina rakha tha us ke roo-b-roo
itni si ek baat thi us ko jalaal aa gaya
बैठे बिठाए आज फिर किस का ख़याल आ गया
चेहरे का रंग उड़ गया रंग-ए-मलाल आ गया
उलझन में पड़ गया हूँ मैं दिल का करूँ तो क्या करूँ
शीशा नहीं ये काम का इस में तो बाल आ गया
पूरा न कर सकूँगा अब तुझ से कभी मुकालिमा
आँखें थीं महव-ए-गुफ़्तुगू दिल का सवाल आ गया
करनी है तर्क जिस जगह तेरी तलाश-ओ-आरज़ू
सहरा में अब मक़ाम वो मेरे ग़ज़ाल आ गया
रूई की तरह शहर में उड़ने लगी है ये ख़बर
उस को ही बस पता नहीं उस का ज़वाल आ गया
मैं ने तो अपना आईना रक्खा था उस के रू-ब-रू
इतनी सी एक बात थी उस को जलाल आ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Protest Shayari Shayari