main fard-e-jurm teri taiyyaar kar raha hoon | मैं फ़र्द-ए-जुर्म तेरी तय्यार कर रहा हूँ

  - Obaid Siddiqi

main fard-e-jurm teri taiyyaar kar raha hoon
ai aasmaan sun le hushyaar kar raha hoon

ik had bana raha hoon shehar-e-hawas mein apni
dar kholne ki khaatir deewaar kar raha hoon

maaloom hai na hogi poori ye aarzoo bhi
phir dil ko be-sabab kyun beemaar kar raha hoon

phoolon-bhari ye shaakhen baanhon si lag rahi hain
ab kya bataaun kis ka deedaar kar raha hoon

ye raaste ki jin par chalta raha hoon barson
aindagaan ki khaatir hamvaar kar raha hoon

aasaaniyon mein jeena mushkil sa ho gaya hai
main zindagi ko thoda dushwaar kar raha hoon

saame bana liya hai raaton ko main ne apna
ghazlein suna suna ke sarshaar kar raha hoon

मैं फ़र्द-ए-जुर्म तेरी तय्यार कर रहा हूँ
ऐ आसमान सुन ले हुश्यार कर रहा हूँ

इक हद बना रहा हूँ शहर-ए-हवस में अपनी
दर खोलने की ख़ातिर दीवार कर रहा हूँ

मालूम है न होगी पूरी ये आरज़ू भी
फिर दिल को बे-सबब क्यूँ बीमार कर रहा हूँ

फूलों-भरी ये शाख़ें बाँहों सी लग रही हैं
अब क्या बताऊँ किस का दीदार कर रहा हूँ

ये रास्ते कि जिन पर चलता रहा हूँ बरसों
आइंदगाँ की ख़ातिर हमवार कर रहा हूँ

आसानियों में जीना मुश्किल सा हो गया है
मैं ज़िंदगी को थोड़ा दुश्वार कर रहा हूँ

सामे बना लिया है रातों को मैं ने अपना
ग़ज़लें सुना सुना के सरशार कर रहा हूँ

  - Obaid Siddiqi

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari