apne baad haqeeqat ya afsaana chhodaa tha
phool khile the main ne jab veeraana chhodaa tha
saans ghuti jaati thi kaisa habs ka aalam tha
yaad hai jis din sabze ne lehraana chhodaa tha
aansu gire to khaak-e-badan se khushboo footi thi
meh barsa to mausam ne garmaana chhodaa tha
mere alaava kis ko khabar hai lekin main chup hoon
saahil se kyun maujon ne takraana chhodaa tha
main pehle be-baak hua tha josh-e-mohabbat mein
meri tarah phir us ne bhi sharmaana chhodaa tha
अपने बाद हक़ीक़त या अफ़्साना छोड़ा था
फूल खिले थे मैं ने जब वीराना छोड़ा था
साँस घुटी जाती थी कैसा हब्स का आलम था
याद है जिस दिन सब्ज़े ने लहराना छोड़ा था
आँसू गिरे तो ख़ाक-ए-बदन से ख़ुश्बू फूटी थी
मेंह बरसा तो मौसम ने गर्माना छोड़ा था
मेरे अलावा किस को ख़बर है लेकिन मैं चुप हूँ
साहिल से क्यूँ मौजों ने टकराना छोड़ा था
मैं पहले बे-बाक हुआ था जोश-ए-मोहब्बत में
मेरी तरह फिर उस ने भी शर्माना छोड़ा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Gulshan Shayari Shayari