tiri nisbat se apni zaat ka idraak karne mein
bahut arsa laga hai pairhan ko chaak karne mein
tiri basti ke baashinde bahut asooda-khaatir hain
takalluf ho raha hai dard ko poshaak karne mein
ham apne jism ka sona safar par le ke nikle hain
magar darte hain is ko raaston ki khaak karne mein
faqat ik deeda-e-tar hai ki jo sairaab karta hai
samundar sookh jaate hain badan namnaak karne mein
hamaare saath kuchh guzre hue mausam bhi shaamil hain
tamaasha-gaah-e-aalam tujh ko ibarat-naak karne mein
तिरी निस्बत से अपनी ज़ात का इदराक करने में
बहुत अर्सा लगा है पैरहन को चाक करने में
तिरी बस्ती के बाशिंदे बहुत आसूदा-ख़ातिर हैं
तकल्लुफ़ हो रहा है दर्द को पोशाक करने में
हम अपने जिस्म का सोना सफ़र पर ले के निकले हैं
मगर डरते हैं इस को रास्तों की ख़ाक करने में
फ़क़त इक दीदा-ए-तर है कि जो सैराब करता है
समुंदर सूख जाते हैं बदन नमनाक करने में
हमारे साथ कुछ गुज़रे हुए मौसम भी शामिल हैं
तमाशा-गाह-ए-आलम तुझ को इबरत-नाक करने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Relationship Shayari Shayari