nuksaan kya bataayein hamaara kiya bahut | नुक़सान क्या बताएँ हमारा किया बहुत

  - Obaid Siddiqi

nuksaan kya bataayein hamaara kiya bahut
is kaarobaar-e-dil ne khasaara kiya bahut

chaaron taraf the phool shafaq ke khile hue
jis shaam aasmaan ka nazaara kiya bahut

ab kya karoon ki shor mein awaaz dab gai
main us ko shahr-e-jaan mein pukaara kiya bahut

shabnam se pyaas tu ne yaqeenan bujhaai hai
main ne bhi aansuon pe guzaara kiya bahut

नुक़सान क्या बताएँ हमारा किया बहुत
इस कारोबार-ए-दिल ने ख़सारा किया बहुत

चारों तरफ़ थे फूल शफ़क़ के खिले हुए
जिस शाम आसमाँ का नज़ारा किया बहुत

अब क्या करूँ कि शोर में आवाज़ दब गई
मैं उस को शहर-ए-जाँ में पुकारा किया बहुत

शबनम से प्यास तू ने यक़ीनन बुझाई है
मैं ने भी आँसुओं पे गुज़ारा किया बहुत

  - Obaid Siddiqi

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari