main khwaab apne saare neelaam kar raha hoon | मैं ख़्वाब अपने सारे नीलाम कर रहा हूँ

  - Obaid Siddiqi

main khwaab apne saare neelaam kar raha hoon
aur ye bhi jaan lo ki be-daam kar raha hoon

is se garz nahin hai boli lagegi kaise
jo kaam karna hai bas vo kaam kar raha hoon

vo sab kahaaniyaan jo poori nahin hui theen
tahreer aaj un ka anjaam kar raha hoon

thak-haar sa gaya tha main raah chalte chalte
saaya jo mil gaya hai aaraam kar raha hoon

sair-e-jahaan ki furqat milti kahaan hai mujh ko
ab kya bataaun tum ko kya kaam kar raha hoon

मैं ख़्वाब अपने सारे नीलाम कर रहा हूँ
और ये भी जान लो कि बे-दाम कर रहा हूँ

इस से ग़रज़ नहीं है बोली लगेगी कैसे
जो काम करना है बस वो काम कर रहा हूँ

वो सब कहानियाँ जो पूरी नहीं हुई थीं
तहरीर आज उन का अंजाम कर रहा हूँ

थक-हार सा गया था मैं राह चलते चलते
साया जो मिल गया है आराम कर रहा हूँ

सैर-ए-जहाँ की फ़ुर्सत मिलती कहाँ है मुझ को
अब क्या बताऊँ तुम को क्या काम कर रहा हूँ

  - Obaid Siddiqi

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari