mujhe ab naya ik badan chahiye
aur us ke liye baankpan chahiye
main ye sochta hoon asar ke liye
sada chahiye ya sukhun chahiye
bhatkne se ab main bahut tang hoon
zameen qaid kar le watan chahiye
nashe ke liye ik naya sheesha ho
aur us mein sharaab-e-kuhn chahiye
ye aankhen ye dil ye badan hai tira
tujhe aur kya jaan-e-man chahiye
bahut tursh lagne lagi zindagi
koi meethi meethi chubhan chahiye
मुझे अब नया इक बदन चाहिए
और उस के लिए बाँकपन चाहिए
मैं ये सोचता हूँ असर के लिए
सदा चाहिए या सुख़न चाहिए
भटकने से अब मैं बहुत तंग हूँ
ज़मीं क़ैद कर ले वतन चाहिए
नशे के लिए इक नया शीशा हो
और उस में शराब-ए-कुहन चाहिए
ये आँखें ये दिल ये बदन है तिरा
तुझे और क्या जान-ए-मन चाहिए
बहुत तुर्श लगने लगी ज़िंदगी
कोई मीठी मीठी चुभन चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Badan Shayari Shayari