koi kuchh bataaega kya ho gaya
yahan kaise har but khuda ho gaya
tazbzub ka aalam raha der tak
bil-aakhir main us se juda ho gaya
use kya mujhe bhi nahin thi khabar
ki main qaid se kab rihaa ho gaya
zameen pyaas se itni behaal thi
samundar ne dekha ghatta ho gaya
ye duniya adhuri si lagne lagi
achaanak mujhe jaane kya ho gaya
sharaab ham ne yaksaan hi pee thi magar
tujhe is qadar kyun nasha ho gaya
कोई कुछ बताएगा क्या हो गया
यहाँ कैसे हर बुत ख़ुदा हो गया
तज़ब्ज़ुब का आलम रहा देर तक
बिल-आख़िर मैं उस से जुदा हो गया
उसे क्या मुझे भी नहीं थी ख़बर
कि मैं क़ैद से कब रिहा हो गया
ज़मीं प्यास से इतनी बेहाल थी
समुंदर ने देखा घटा हो गया
ये दुनिया अधूरी सी लगने लगी
अचानक मुझे जाने क्या हो गया
शराब हम ने यकसाँ ही पी थी मगर
तुझे इस क़दर क्यूँ नशा हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Sazaa Shayari Shayari