aankhon mein ik khwaab hai us ko yahin sajaaoonga
thodi zameen mili to ik din baagh lagaaunga
shehar jo tum ye dekh rahe ho is mein kai hain shehar
mere saath zara niklo to sair karaaoonga
mere liye ye deewar-o-dar jaise hain achhe hain
is ghar ki aaraish kar ke kise dikhaaunga
saari duniya dekh rahi hai khushiyon ke ambaar
itni daulat mat de mujh ko kahaan chhupaoonga
ye jo andhera phail raha hai jism-o-jaan ke beech
aur ghanera ho jaaye to diya jalaaunga
आँखों में इक ख़्वाब है उस को यहीं सजाऊँगा
थोड़ी ज़मीं मिली तो इक दिन बाग़ लगाऊँगा
शहर जो तुम ये देख रहे हो इस में कई हैं शहर
मेरे साथ ज़रा निकलो तो सैर कराऊँगा
मेरे लिए ये दीवार-ओ-दर जैसे हैं अच्छे हैं
इस घर की आराइश कर के किसे दिखाऊँगा
सारी दुनिया देख रही है ख़ुशियों के अम्बार
इतनी दौलत मत दे मुझ को कहाँ छुपाऊँगा
ये जो अंधेरा फैल रहा है जिस्म-ओ-जाँ के बीच
और घनेरा हो जाए तो दिया जलाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Relationship Shayari Shayari