agar is shehar ki aab o hawa tabdeel ho jaaye | अगर इस शहर की आब ओ हवा तब्दील हो जाए

  - Obaid Siddiqi

agar is shehar ki aab o hawa tabdeel ho jaaye
to phir sab kuchh b-juz naam-e-khuda tabdeel ho jaaye

mere hone ne duniya mein sabhi kuchh to badal daala
mujhe tu hi bata ab aur kya tabdeel ho jaaye

mujhe is ki khabar tak bhi na hone paaye aur ik din
safar ke darmiyaan yun raasta tabdeel ho jaaye

ajab khwaahish hai sar se aasmaan ka saaya uth jaaye
zameen aab-e-ravaan mein zer-e-paa tabdeel ho jaaye

tilism-e-khwaab se aankhen agar azaad ho jaayen
to zinda rahne ka saara maza tabdeel ho jaaye

अगर इस शहर की आब ओ हवा तब्दील हो जाए
तो फिर सब कुछ ब-जुज़ नाम-ए-ख़ुदा तब्दील हो जाए

मिरे होने ने दुनिया में सभी कुछ तो बदल डाला
मुझे तू ही बता अब और क्या तब्दील हो जाए

मुझे इस की ख़बर तक भी न होने पाए और इक दिन
सफ़र के दरमियाँ यूँ रास्ता तब्दील हो जाए

अजब ख़्वाहिश है सर से आसमाँ का साया उठ जाए
ज़मीं आब-ए-रवाँ में ज़ेर-ए-पा तब्दील हो जाए

तिलिस्म-ए-ख़्वाब से आँखें अगर आज़ाद हो जाएँ
तो ज़िंदा रहने का सारा मज़ा तब्दील हो जाए

  - Obaid Siddiqi

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Siddiqi

As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari