manzar roz badal deta hoon apni narm-khyaali se
shaam shafaq mein dhal jaati hai rang-e-hina ki laali se
tujh se bichhad kar zinda rahna apne sog mein jeena hai
dil ik phool tha khushboo waala toot gaya hai daali se
shehr-e-tarab ko jaane kis ki nazar lagi hai aaj ki shab
raaste bhi veeraan pade hain ghar lagte hain khaali se
duniya waale jis ko akshar rona-dhona kahte hain
aankhen dariya ban jaati hai jazbon ki sayyaali se
dhool-bhare raston ke safar ne tarz-e-fikr badal daala
khauf-zada si rahne lagi hai khaak-e-badan paamaali se
मंज़र रोज़ बदल देता हूँ अपनी नर्म-ख़याली से
शाम शफ़क़ में ढल जाती है रंग-ए-हिना की लाली से
तुझ से बिछड़ कर ज़िंदा रहना अपने सोग में जीना है
दिल इक फूल था ख़ुश्बू वाला टूट गया है डाली से
शहर-ए-तरब को जाने किस की नज़र लगी है आज की शब
रस्ते भी वीरान पड़े हैं घर लगते हैं ख़ाली से
दुनिया वाले जिस को अक्सर रोना-धोना कहते हैं
आँखें दरिया बन जाती है जज़्बों की सय्याली से
धूल-भरे रस्तों के सफ़र ने तर्ज़-ए-फ़िक्र बदल डाला
ख़ौफ़-ज़दा सी रहने लगी है ख़ाक-ए-बदन पामाली से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaid Siddiqi
our suggestion based on Obaid Siddiqi
As you were reading Basant Shayari Shayari