hamein to gosha-nasheen aur jahaan bhi hona hai | हमें तो गोशा-नशीं और जहाँ भी होना है

  - Obaidur Rahman

hamein to gosha-nasheen aur jahaan bhi hona hai
yahan bhi hona hai ham ko wahan bhi hona hai

nishaan bhi hai lagana nishaan bhi hona hai
makaan mein rahte hue la-makaan bhi hona hai

is ehtiyaat se karna hai zindagi apni
akela chalna hai aur kaarwaan bhi hona hai

zameen mein rakhte hain paivast apni duniya ko
zameen pe rahte hue aasmaan bhi hona hai

ik aisi qaid bhi ab khud pe yun lagaani hai
zabaan rakhte hue be-zabaan bhi hona hai

हमें तो गोशा-नशीं और जहाँ भी होना है
यहाँ भी होना है हम को वहाँ भी होना है

निशान भी है लगाना निशाँ भी होना है
मकाँ में रहते हुए ला-मकाँ भी होना है

इस एहतियात से करना है ज़िंदगी अपनी
अकेला चलना है और कारवाँ भी होना है

ज़मीं में रखते हैं पैवस्त अपनी दुनिया को
ज़मीं पे रहते हुए आसमाँ भी होना है

इक ऐसी क़ैद भी अब ख़ुद पे यूँ लगानी है
ज़बान रखते हुए बे-ज़बाँ भी होना है

  - Obaidur Rahman

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidur Rahman

As you were reading Shayari by Obaidur Rahman

Similar Writers

our suggestion based on Obaidur Rahman

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari