masale mere sabhi hal kar de
warna yaarab mujhe paagal kar de
waqt ki dhoop mein jalta hai badan
mujh pe saaya koi aanchal kar de
aisi tahzeeb se haasil kya hai
jo bhare shehar ko jungle kar de
rok rakhi hai ghatta aankhon mein
warna bah jaaye to jal-thal kar de
vo jo rakhta hai mujhe nazaron mein
kahi nazaron se na ojhal kar de
shehar mein jaadu hai jaane kaisa
zar-e-khaalis ko jo peetal kar de
gham hai sougaat ki soorat yaarab
tu mere gham ko musalsal kar de
मसअले मेरे सभी हल कर दे
वर्ना यारब मुझे पागल कर दे
वक़्त की धूप में जलता है बदन
मुझ पे साया कोई आँचल कर दे
ऐसी तहज़ीब से हासिल क्या है
जो भरे शहर को जंगल कर दे
रोक रक्खी है घटा आँखों में
वर्ना बह जाए तो जल-थल कर दे
वो जो रखता है मुझे नज़रों में
कहीं नज़रों से न ओझल कर दे
शहर में जादू है जाने कैसा
ज़र-ए-ख़ालिस को जो पीतल कर दे
ग़म है सौग़ात की सूरत यारब
तू मिरे ग़म को मुसलसल कर दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidur Rahman
our suggestion based on Obaidur Rahman
As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari