manzilen aur bhi hain wahm-o-gumaan se aage
ham ko karna hai safar qaid-e-makaan se aage
paikar-e-sher ko malboos ata kya kijeye
jab takhayyul ki ho parwaaz bayaan se aage
aab aur khaak ki ye bazm hamein kya raas aati
ham ko jaana tha sitaaron ke jahaan se aage
kab talak dair-o-haram ki ye hadees-e-be-sood
masale aur hain naaqoos-o-azaan se aage
justuju aur hai kuchh ahl-e-junoon ki warna
kaun karta hai safar jaa-e-amaan se aage
karb ko apne tamasha na banaya jaaye
hai adab-gaah-e-wafaa aah-o-fughaan se aage
nazr-e-andesha na ho jaaye kahi zeest ubaid
baat kuchh aur karein sood-o-ziyaan se aage
मंज़िलें और भी हैं वहम-ओ-गुमाँ से आगे
हम को करना है सफ़र क़ैद-ए-मकाँ से आगे
पैकर-ए-शेर को मल्बूस अता क्या कीजे
जब तख़य्युल की हो पर्वाज़ बयाँ से आगे
आब और ख़ाक की ये बज़्म हमें क्या रास आती
हम को जाना था सितारों के जहाँ से आगे
कब तलक दैर-ओ-हरम की ये हदीस-ए-बे-सूद
मसअले और हैं नाक़ूस-ओ-अज़ाँ से आगे
जुस्तुजू और है कुछ अहल-ए-जुनूँ की वर्ना
कौन करता है सफ़र जा-ए-अमाँ से आगे
कर्ब को अपने तमाशा न बनाया जाए
है अदब-गाह-ए-वफ़ा आह-ओ-फ़ुग़ाँ से आगे
नज़्र-ए-अंदेशा न हो जाए कहीं ज़ीस्त 'उबैद'
बात कुछ और करें सूद-ओ-ज़ियाँ से आगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidur Rahman
our suggestion based on Obaidur Rahman
As you were reading Baaten Shayari Shayari