nikhrana aql-o-khird ka agar zaroori hai
junoon ki raahbari mein safar zaroori hai
haqeeqaton se jo hota hai aashna ai dost
to is ke vaaste raah-e-khatr zaroori hai
kisi ki neechi nazar ka salaam saath rahe
safar ke vaaste zaad-e-safar zaroori hai
magar ye shart hai har lafz rooh se nikle
dua-e-neem-shabi mein asar zaroori hai
dilon ka haal na chehron se ho sake zaahir
khird ke daur mein ye bhi hunar zaroori hai
ubaid doosron ko kar chuke bahut talkin
ab apne aap pe bhi ik nazar zaroori hai
निखरना अक़्ल-ओ-ख़िरद का अगर ज़रूरी है
जुनूँ की राहबरी में सफ़र ज़रूरी है
हक़ीक़तों से जो होता है आश्ना ऐ दोस्त
तो इस के वास्ते राह-ए-ख़तर ज़रूरी है
किसी की नीची नज़र का सलाम साथ रहे
सफ़र के वास्ते ज़ाद-ए-सफ़र ज़रूरी है
मगर ये शर्त है हर लफ़्ज़ रूह से निकले
दुअा-ए-नीम-शबी में असर ज़रूरी है
दिलों का हाल न चेहरों से हो सके ज़ाहिर
ख़िरद के दौर में ये भी हुनर ज़रूरी है
'उबैद' दूसरों को कर चुके बहुत तल्क़ीन
अब अपने आप पे भी इक नज़र ज़रूरी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidur Rahman
our suggestion based on Obaidur Rahman
As you were reading Aawargi Shayari Shayari